lo umr bhar ko TuT gae gulsitan se hum
lo 'umr bhar ko TuuT ga.e gulsitāñ se ham
nikle the kis 'ajīb ghaḌī āshiyāñ se ham
ye aur baat hai ki qadam ham-qadam nahīñ
pīchhe nahīñ haiñ qāfila-e-raftagāñ se ham
jab yaad ye nahīñ ki pahuñchnā thā kis jagah
ab ye bhī kyā batā.eñ chale the kahāñ se ham
rah jaa.e nā-tamām na phir dāstān-e-shauq
tum ruk ga.e jahāñ pe sunā.eñ vahāñ se ham
ġhairoñ meñ aa ke jī kī ghuTan kuchh to kam huī
apnoñ ke darmiyāñ the baḌe sargirāñ se ham
tārīḳh ham ko bhuul ga.ī hai to bhuul jaa.e
zinda raheñge tazkira-e-dīgarāñ se ham
'afzal' hamārī tarh koī kam-suḳhan na ho
hote hue zabāñ ke bhī haiñ be-zabāñ se ham
lo 'umr bhar ko TuT gae gulsitan se hum
nikle the kis 'ajib ghaDi aashiyan se hum
ye aur baat hai ki qadam ham-qadam nahin
pichhe nahin hain qafila-e-raftagan se hum
jab yaad ye nahin ki pahunchna tha kis jagah
ab ye bhi kya bataen chale the kahan se hum
rah jae na-tamam na phir dastan-e-shauq
tum ruk gae jahan pe sunaen wahan se hum
ghairon mein aa ke ji ki ghuTan kuchh to kam hui
apnon ke darmiyan the baDe sargiran se hum
tariKH hum ko bhul gai hai to bhul jae
zinda rahenge tazkira-e-digaran se hum
'afzal' hamari tarh koi kam-suKHan na ho
hote hue zaban ke bhi hain be-zaban se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.