log aa jate the us par se kuchh din pahle
log aa jaate the us paar se kuchh din pahle
is jagah peḌ thā dīvār se kuchh din pahle
ab tire ishq kā darbār hai ham ḳhādim haiñ
ham yūñhī phirte the bekār se kuchh din pahle
pahlī tauba se liyā dūsrī tauba kā javāz
āḳhirī baar pī har baar se kuchh din pahle
ab ye ik borī hai jo ḳhuun meñ lat-pat borī
us ne takrār kī sardār se kuchh din pahle
ahd-e-nau meñ nahīñ chalne ke hamāre sikke
ham jo nikle haiñ abhī ġhaar se kuchh din pahle
log aa jate the us par se kuchh din pahle
is jagah peD tha diwar se kuchh din pahle
ab tere ishq ka darbar hai hum KHadim hain
hum yunhi phirte the bekar se kuchh din pahle
pahli tauba se liya dusri tauba ka jawaz
aaKHiri bar pi har bar se kuchh din pahle
ab ye ek bori hai jo KHun mein lat-pat bori
us ne takrar ki sardar se kuchh din pahle
ahd-e-nau mein nahin chalne ke hamare sikke
hum jo nikle hain abhi ghaar se kuchh din pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.