log apni taswiren waqt se chhupate hain
log apnī tasvīreñ vaqt se chhupāte haiñ
'aks to haqīqat ke aa.ine dikhāte haiñ
ḳhushbuoñ meñ phūloñ kī ahl-e-dil nahāte haiñ
ban-sañvar ke mahfil meñ aap jab bhī aate haiñ
zindagī kī rāhoñ meñ phuul muskurāte haiñ
log sinf-e-nāzuk se qurbateñ baḌhāte haiñ
kaise bhuul jā.ūñ maiñ dhundlī dhundlī yādoñ ko
ye ḳhayāl to merī himmateñ baḌhāte haiñ
kyā hasīn rishta thā chāñdnī kā āñgan se
aaj bhī nigāhoñ meñ ḳhvāb jagmagāte haiñ
shaam se nikalte haiñ raat kā safar le kar
intizār ke sūraj sub.h Duub jaate haiñ
kab mizāj badlegā zindagī ke mausam kā
phuul se badan vaale ham se ḳhaar khāte haiñ
raat bhiig jaatī hai jugnuoñ kī bārish se
jhuTpuTe meñ vo aksar giit gungunāte haiñ
shakl kab badal jaa.e Dar hai is liye 'sarvat'
ghar pe log nāmoñ kī taḳhtiyāñ lagāte haiñ
log apni taswiren waqt se chhupate hain
'aks to haqiqat ke aaine dikhate hain
KHushbuon mein phulon ki ahl-e-dil nahate hain
ban-sanwar ke mahfil mein aap jab bhi aate hain
zindagi ki rahon mein phul muskuraate hain
log sinf-e-nazuk se qurbaten baDhate hain
kaise bhul jaun main dhundli dhundli yaadon ko
ye KHayal to meri himmaten baDhate hain
kya hasin rishta tha chandni ka aangan se
aaj bhi nigahon mein KHwab jagmagate hain
sham se nikalte hain raat ka safar le kar
intizar ke suraj subh Dub jate hain
kab mizaj badlega zindagi ke mausam ka
phul se badan wale hum se KHar khate hain
raat bhig jati hai jugnuon ki barish se
jhuTpuTe mein wo aksar git gungunate hain
shakl kab badal jae Dar hai is liye 'sarwat'
ghar pe log namon ki taKHtiyan lagate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.