log bazar mein phirte hain zarurat ke baghair
log bāzār meñ phirte haiñ zarūrat ke baġhair
dil isī vāste bik jaatā hai qīmat ke baġhair
maiñ adhūrī hī rahī ishq bhī puurā na huā
ālam-e-kun hai ye takmīl kī sūrat ke baġhair
har tamanna ke bagūle se sadā aatī hai
aap kyoñ aa.e the is dasht meñ vahshat ke baġhair
ā.īna-ḳhāne se kuchh bhī nahīñ mil paayā mujhe
maiñ ne jab dekhnā chāhā kabhī hairat ke baġhair
kyā ajab taur se ujlat kā safar hai darpesh
log uTh kar chale jaate haiñ ijāzat ke baġhair
dil ḳharābe ke liye ḳhud ko banā bhī na sakī
ḳhaak ta.amīr karūñ ḳhaak kī hasrat ke baġhair
log bazar mein phirte hain zarurat ke baghair
dil isi waste bik jata hai qimat ke baghair
main adhuri hi rahi ishq bhi pura na hua
aalam-e-kun hai ye takmil ki surat ke baghair
har tamanna ke bagule se sada aati hai
aap kyon aae the is dasht mein wahshat ke baghair
aaina-KHane se kuchh bhi nahin mil paya mujhe
main ne jab dekhna chaha kabhi hairat ke baghair
kya ajab taur se ujlat ka safar hai darpesh
log uTh kar chale jate hain ijazat ke baghair
dil KHarabe ke liye KHud ko bana bhi na saki
KHak tamir karun KHak ki hasrat ke baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.