log hain muntazir-e-nur-e-sahar muddat se
log hain muntazir-e-nur-e-sahar muddat se
Shafqat Tanveer Mirza
MORE BYShafqat Tanveer Mirza
log haiñ muntazir-e-nūr-e-sahar muddat se
maiñ bhī baiThā huuñ sar-e-rāhguzar muddat se
muddatoñ dār-o-rasan ziist kā unvān rahe
morid-e-sañg haiñ is shahr meñ sar muddat se
jis kī manzil kā nishāñ tak bhī nahīñ nazroñ meñ
kab se us raah meñ haiñ mahv-e-safar muddat se
vo koī dasht-o-bayābāñ ho ki ābādī ho
ban chuke haiñ sabhī sho.aloñ ke nagar muddat se
reg-zāroñ meñ hai logoñ ko Thikānoñ kī talāsh
muntazir apne makīnoñ ke haiñ ghar muddat se
pā-ba-zanjīr haiñ imkān-e-rihā.ī to kujā
zañg-ālūd haiñ zindānoñ ke dar muddat se
log hain muntazir-e-nur-e-sahar muddat se
main bhi baiTha hun sar-e-rahguzar muddat se
muddaton dar-o-rasan zist ka unwan rahe
morid-e-sang hain is shahr mein sar muddat se
jis ki manzil ka nishan tak bhi nahin nazron mein
kab se us rah mein hain mahw-e-safar muddat se
wo koi dasht-o-bayaban ho ki aabaadi ho
ban chuke hain sabhi shoalon ke nagar muddat se
reg-zaron mein hai logon ko Thikanon ki talash
muntazir apne makinon ke hain ghar muddat se
pa-ba-zanjir hain imkan-e-rihai to kuja
zang-alud hain zindanon ke dar muddat se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.