log is Dhab se qaside mein asar bandhte hain
log is Dhab se qaside mein asar bandhte hain
KHvaaja Gulaamus Syedain Rabbani
MORE BYKHvaaja Gulaamus Syedain Rabbani
log is Dhab se qasīde meñ asar bāñdhte haiñ
sāhab-e-sadr ke 'aiboñ ko hunar bāñdhte haiñ
ham tire shahr kā jab 'azm-e-safar bāñdhte haiñ
'ādatan kāñdhoñ pe apne ka.ī sar bāñdhte haiñ
sūkhī shāḳhoñ pe na.e barg-o-samar bāñdhte haiñ
qāfiya jab bhī nayā ahl-e-nazar bāñdhte haiñ
un muñDeroñ ke charāġhoñ kī 'ajab qismat hai
jis meñ ahbāb havāoñ kā guzar bāñdhte haiñ
maiñ 'asā le ke khaḌā huuñ to nahīñ koī harīf
kis ke hone kā fusūñ sho'bda-gar bāñdhte haiñ
vo jo vāqif nahīñ tahzīb-e-zabāñ-dānī se
apnī dastār meñ ab vo bhī guhar bāñdhte haiñ
ik ġhazal aisī jo kāġhaz ko bhigo detī hai
us meñ ham qāfiya-e-dīda-e-tar bāñdhte haiñ
in se hushiyār na.ī tarz ke jādūgar haiñ
kis safā.ī se ye logoñ kī nazar bāñdhte haiñ
ham haiñ mā’zūr-e-nazar pul terī tārīfoñ ke
ā.ina-ḳhāne ke arbāb magar bāñdhte haiñ
log is Dhab se qaside mein asar bandhte hain
sahab-e-sadr ke 'aibon ko hunar bandhte hain
hum tere shahr ka jab 'azm-e-safar bandhte hain
'adatan kandhon pe apne kai sar bandhte hain
sukhi shaKHon pe nae barg-o-samar bandhte hain
qafiya jab bhi naya ahl-e-nazar bandhte hain
un munDeron ke charaghon ki 'ajab qismat hai
jis mein ahbab hawaon ka guzar bandhte hain
main 'asa le ke khaDa hun to nahin koi harif
kis ke hone ka fusun sho'bda-gar bandhte hain
wo jo waqif nahin tahzib-e-zaban-dani se
apni dastar mein ab wo bhi guhar bandhte hain
ek ghazal aisi jo kaghaz ko bhigo deti hai
us mein hum qafiya-e-dida-e-tar bandhte hain
in se hushiyar nai tarz ke jadugar hain
kis safai se ye logon ki nazar bandhte hain
hum hain ma’zur-e-nazar pul teri tarifon ke
aaina-KHane ke arbab magar bandhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.