log jab zist ke sahra mein simaT jate hain
log jab ziist ke sahrā meñ simaT jaate haiñ
har ghanī chhāñv se betāb lipaT jaate haiñ
zaḳhm ke phuul hasīñ jism meñ khilte haiñ jab
saikḌoñ TukḌoñ meñ ham TuuT ke baT jaate haiñ
dard-e-dil shīsha-e-ehsās ke rakhne vaale
daur-e-taḳhrīb kī har gard meñ luT jaate haiñ
hādse ziist meñ kuchh aise bhī aate haiñ kabhī
dars-e-hastī kī tarah log unheñ raT jaate haiñ
zindagī narm-ḳhirāmī se guzar jā.egī
ġham ke bādal kabhī ghirte kabhī chhaT jaate haiñ
amn ko qatl agar karne kī baat aatī hai
rishta-e-shorish-e-hangām se kaT jaate haiñ
shiddat-e-hausla jab baḌh ke dikhā detā huuñ
lashkar aaseb ke āñgan se palaT jaate haiñ
mujh se ik shaḳhs ne kyā ḳhuub kahā thā 'betāb'
gahre saa.e bhī kaḌī dhuup meñ ghaT jaate haiñ
log jab zist ke sahra mein simaT jate hain
har ghani chhanw se betab lipaT jate hain
zaKHm ke phul hasin jism mein khilte hain jab
saikDon TukDon mein hum TuT ke baT jate hain
dard-e-dil shisha-e-ehsas ke rakhne wale
daur-e-taKHrib ki har gard mein luT jate hain
hadse zist mein kuchh aise bhi aate hain kabhi
dars-e-hasti ki tarah log unhen raT jate hain
zindagi narm-KHirami se guzar jaegi
gham ke baadal kabhi ghirte kabhi chhaT jate hain
amn ko qatl agar karne ki baat aati hai
rishta-e-shorish-e-hangam se kaT jate hain
shiddat-e-hausla jab baDh ke dikha deta hun
lashkar aaseb ke aangan se palaT jate hain
mujh se ek shaKHs ne kya KHub kaha tha 'betab'
gahre sae bhi kaDi dhup mein ghaT jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.