log jis shaKHs ko sardar bana dete hain
log jis shaḳhs ko sardār banā dete haiñ
apnī taqdīr kā muḳhtār banā dete haiñ
sher kā rishta kisī fikr se ho yā nahīñ ho
chand alfāz ise shahkār banā dete haiñ
tajarbe par hai na.e ilm kī buniyād sadā
dā.era dekh ke parkār banā dete haiñ
sāhab-e-kun-fayakūñ mere bhī siine meñ utaar
lafz jo aag ko gulzār banā dete haiñ
itnā āsāñ nahīñ ye ishq dobāra banñā
aap kahte haiñ to sarkār banā dete haiñ
hamī miTTī haiñ hamī chaak hamī kūza-gar
aap ko jo bhī hai darkār banā dete haiñ
apne darvāze pe 'fā.ez' hai shab-o-roz hujūm
ham haiñ vo log jo kirdār banā dete haiñ
log jis shaKHs ko sardar bana dete hain
apni taqdir ka muKHtar bana dete hain
sher ka rishta kisi fikr se ho ya nahin ho
chand alfaz ise shahkar bana dete hain
tajarbe par hai nae ilm ki buniyaad sada
daera dekh ke parkar bana dete hain
sahab-e-kun-fayakun mere bhi sine mein utar
lafz jo aag ko gulzar bana dete hain
itna aasan nahin ye ishq dobara banna
aap kahte hain to sarkar bana dete hain
hami miTTi hain hami chaak hami kuza-gar
aap ko jo bhi hai darkar bana dete hain
apne darwaze pe 'faez' hai shab-o-roz hujum
hum hain wo log jo kirdar bana dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.