log jo gardish-e-ayyam se Dar jate hain
log jo gardish-e-ayyām se Dar jaate haiñ
maut se pahle hī samjho ki vo mar jaate haiñ
ye jo kuchh log ki tūfāñ se Darāte haiñ hameñ
sarsarāhaT se ye pattoñ kī bhī Dar jaate haiñ
jis ko dekho vo harāsāñ hai yahāñ apnoñ se
shukr hai shaam ko sab apne hī ghar jaate haiñ
ab ke karnā hai hameñ tark-e-ta.alluq meñ pahal
ham ye kahte haiñ faqat aap to kar jaate haiñ
ik tirā ġham thā jise ham ne sañbhālā har dam
varna tūfān se tinke to bikhar jaate haiñ
un kā da.avā hai ki sūraj ko kareñge tasḳhīr
jo yahāñ shaam ke jugnūñ se bhī Dar jaate haiñ
log jo gardish-e-ayyam se Dar jate hain
maut se pahle hi samjho ki wo mar jate hain
ye jo kuchh log ki tufan se Daraate hain hamein
sarsarahaT se ye patton ki bhi Dar jate hain
jis ko dekho wo harasan hai yahan apnon se
shukr hai sham ko sab apne hi ghar jate hain
ab ke karna hai hamein tark-e-talluq mein pahal
hum ye kahte hain faqat aap to kar jate hain
ek tera gham tha jise hum ne sanbhaala har dam
warna tufan se tinke to bikhar jate hain
un ka dawa hai ki suraj ko karenge tasKHir
jo yahan sham ke jugnun se bhi Dar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.