log jo hamraaz hamdam dost ban kar aae hain
log jo hamrāz hamdam dost ban kar aa.e haiñ
āstīnoñ meñ chhupā kar vo hī ḳhanjar laa.e haiñ
khul ga.ī muTThī hamārī to ye andāza huā
band muTThī meñ qazā ham saath le kar aa.e haiñ
diin kī jānib hamārā dhyān jaatā hī nahīñ
mas.ale duniyā ke ham ko is qadar uljhā.e haiñ
koī mahbūb-e-ḳhudā hai aur hai kāfir koī
is tafarruq ne tamaddun ke sabaq jhuTlā.e haiñ
har farīze se jinheñ mā’zūl honā thā vahī
hukmrāñ ban kar nayā aa.iin le kar aa.e haiñ
log jo hamraaz hamdam dost ban kar aae hain
aastinon mein chhupa kar wo hi KHanjar lae hain
khul gai muTThi hamari to ye andaza hua
band muTThi mein qaza hum sath le kar aae hain
din ki jaanib hamara dhyan jata hi nahin
masale duniya ke hum ko is qadar uljhae hain
koi mahbub-e-KHuda hai aur hai kafir koi
is tafarruq ne tamaddun ke sabaq jhuTlae hain
har farize se jinhen ma’zul hona tha wahi
hukmran ban kar naya aain le kar aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.