log kahte hain ki laila parda-e-mahmil mein hai
log kahte haiñ ki lailā parda-e-mahmil meñ hai
qais kahtā hai ġhalat hai vo to mere dil meñ hai
mujh ko dā'vā thā ki terā 'ishq mere dil meñ hai
dekhtā huuñ ab tirā charchā har ik mahfil meñ hai
ik nazar dushman kī jānib ik hamārī samt hai
kuchh nahīñ mā'lūm kyā us be-vafā ke dil meñ hai
aur bhī ik haath ai qātil ḳhudā ke vāste
jaan thoḌī sī abhī baaqī tan-e-bismil meñ hai
aap puurā kar nahīñ sakte mujhe mā'lūm hai
pūchh kar kyā kījiyegā jo tamannā dil meñ hai
rāh-e-ulfat meñ chalā jaatā huuñ maiñ dīvāna-vār
kuchh nahīñ mā'lūm kitnā fāsla manzil meñ hai
ek vo din the ki jab thā ārzūoñ kā hujūm
ab ye hālat hai ki hasrat kī bhī hasrat dil meñ hai
pārsā bhī rind ban jaate haiñ aa kar is jagah
kuchh 'ajab tāsīr maiḳhāne ke āb-o-gil meñ hai
al-madad ai nāḳhudā-e-bahr-e-ulfat al-madad
fāsla do haath kā ab kashtī-o-sāhil meñ hai
faisla ho jaa.e kis kī dostī manzūr hai
maiñ bhī huuñ maujūd dushman bhī tirī mahfil meñ hai
aap agar anjān ban jaa.eñ to is kā kyā 'ilāj
aap ko mā'lūm hai jo kuchh hamāre dil meñ hai
'ishq bhī dushvār tark-e-‘ishq bhī dushvār-tar
ye dil-e-nā-‘āqibat-andesh ab mushkil meñ hai
munhasir hai marg par bīmār-e-ulfat kī shifā
chāra-gar tū kyoñ 'abas is sa'i-e-lā-hāsil meñ hai
vo yahāñ par ḳhud chale ā.eñge 'hājir' dekhnā
kuchh asar baaqī gar apne jazba-e-kāmil meñ hai
log kahte hain ki laila parda-e-mahmil mein hai
qais kahta hai ghalat hai wo to mere dil mein hai
mujh ko da'wa tha ki tera 'ishq mere dil mein hai
dekhta hun ab tera charcha har ek mahfil mein hai
ek nazar dushman ki jaanib ek hamari samt hai
kuchh nahin ma'lum kya us be-wafa ke dil mein hai
aur bhi ek hath ai qatil KHuda ke waste
jaan thoDi si abhi baqi tan-e-bismil mein hai
aap pura kar nahin sakte mujhe ma'lum hai
puchh kar kya kijiyega jo tamanna dil mein hai
rah-e-ulfat mein chala jata hun main diwana-war
kuchh nahin ma'lum kitna fasla manzil mein hai
ek wo din the ki jab tha aarzuon ka hujum
ab ye haalat hai ki hasrat ki bhi hasrat dil mein hai
parsa bhi rind ban jate hain aa kar is jagah
kuchh 'ajab tasir maiKHane ke aab-o-gil mein hai
al-madad ai naKHuda-e-bahr-e-ulfat al-madad
fasla do hath ka ab kashti-o-sahil mein hai
faisla ho jae kis ki dosti manzur hai
main bhi hun maujud dushman bhi teri mahfil mein hai
aap agar anjaan ban jaen to is ka kya 'ilaj
aap ko ma'lum hai jo kuchh hamare dil mein hai
'ishq bhi dushwar tark-e-‘ishq bhi dushwar-tar
ye dil-e-na-‘aqibat-andesh ab mushkil mein hai
munhasir hai marg par bimar-e-ulfat ki shifa
chaara-gar tu kyon 'abas is sa'i-e-la-hasil mein hai
wo yahan par KHud chale aaenge 'hajir' dekhna
kuchh asar baqi gar apne jazba-e-kaamil mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.