log kahte hain ki mahfuz dawa ne rakkha
log kahte haiñ ki mahfūz davā ne rakkhā
dil kī dhaḌkan meñ tasalsul to ḳhudā ne rakkhā
har ghaḌī yaad meñ masrūf rahā kartī thī
naam paglī usī 'aurat kā piyā ne rakkhā
un charāġhoñ ko havā ne hī bujhāyā āḳhir
jin charāġhoñ ko munavvar bhī havā ne rakkhā
apnī dahlīz pe har lamha tamāshā ke liye
hākim-e-vaqt ko ham jaise gadā ne rakkhā
us ne rakkhā hī nahīñ merī vafā ko malhūz
ham ko pāband magar us kī jafā ne rakkhā
ham ko taslīm hai allāh kī 'azmat lekin
ham ko masrūf 'ibādat meñ jazā ne rakkhā
maut aa.ī to ye 'uqda bhī khulā hai 'dānish'
'umr ko bāñdh ke jiine kī sazā ne rakkhā
log kahte hain ki mahfuz dawa ne rakkha
dil ki dhaDkan mein tasalsul to KHuda ne rakkha
har ghaDi yaad mein masruf raha karti thi
nam pagli usi 'aurat ka piya ne rakkha
un charaghon ko hawa ne hi bujhaya aaKHir
jin charaghon ko munawwar bhi hawa ne rakkha
apni dahliz pe har lamha tamasha ke liye
hakim-e-waqt ko hum jaise gada ne rakkha
us ne rakkha hi nahin meri wafa ko malhuz
hum ko paband magar us ki jafa ne rakkha
hum ko taslim hai allah ki 'azmat lekin
hum ko masruf 'ibaadat mein jaza ne rakkha
maut aai to ye 'uqda bhi khula hai 'danish'
'umr ko bandh ke jine ki saza ne rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.