log kahte hain main bhi dariya hun
log kahte haiñ maiñ bhī dariyā huuñ
phir bhī sadiyāñ huiiñ ki pyāsā huuñ
ai jahāñ vaalo mujh ko apnāo
maiñ taraqqī kī rūp-rekhā huuñ
merī aahaT se ranj-o-ġham jaage
vāqi'a ye hai maiñ masīhā huuñ
ai bure vaqt ehtiyāt barat
ik nagar kā maiñ shāhzāda huuñ
aao tum bhī ḳharīd lo mujh ko
aaj nīlām hone vaalā huuñ
kar 'adīm' ehtirām merā bhī
dil kā nāzuk-tarīn rishta huuñ
log kahte hain main bhi dariya hun
phir bhi sadiyan huin ki pyasa hun
ai jahan walo mujh ko apnao
main taraqqi ki rup-rekha hun
meri aahaT se ranj-o-gham jage
waqi'a ye hai main masiha hun
ai bure waqt ehtiyat barat
ek nagar ka main shahzada hun
aao tum bhi KHarid lo mujh ko
aaj nilam hone wala hun
kar 'adim' ehtiram mera bhi
dil ka nazuk-tarin rishta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.