log kahte hain waba hai ye waba ka waqt hai
log kahte haiñ vabā hai ye vabā kā vaqt hai
ye ghaḌī mushkil kī hai mushkil-kushā kā vaqt hai
sub.h-e-kāzib kī sahar-angeziyāñ daa.em vahīñ
koī dariyā hai añdherā hai ḳhudā kā vaqt hai
din nikaltā hai abhī tak ik hayāt-āsār din
āsmānoñ par sitāre haiñ sanā kā vaqt hai
shahr ko khā jaane vaalī hai ye mīnāroñ kī chup
koī naubat hai namāzoñ kī qazā kā vaqt hai
ik zarā tauzīh jis kī ho nahīñ saknī abhī
merī muTThī meñ abhī koī balā kā vaqt hai
paañv rakhte haiñ uThāte haiñ palaT aate haiñ ham
rahguzar par ek anjānī sadā kā vaqt hai
phailtī jaatī hai ik be-haiyatī chāroñ taraf
ye du'ā kā vaqt hai ye bad-du'ā kā vaqt hai
darmiyāñ meñ dūsrī sā'at kā imkāñ tak nahīñ
ibtidā kā vaqt hai aur intihā kā vaqt hai
ahl-e-duniyā par bharose kī koī vaq'at nahīñ
ye ‘iraq-e-zindagānī hai rasā kā vaqt hai
log kahte hain waba hai ye waba ka waqt hai
ye ghaDi mushkil ki hai mushkil-kusha ka waqt hai
subh-e-kazib ki sahar-angeziyan daem wahin
koi dariya hai andhera hai KHuda ka waqt hai
din nikalta hai abhi tak ek hayat-asar din
aasmanon par sitare hain sana ka waqt hai
shahr ko kha jaane wali hai ye minaron ki chup
koi naubat hai namazon ki qaza ka waqt hai
ek zara tauzih jis ki ho nahin sakni abhi
meri muTThi mein abhi koi bala ka waqt hai
panw rakhte hain uThate hain palaT aate hain hum
rahguzar par ek anjaani sada ka waqt hai
phailti jati hai ek be-haiyati chaaron taraf
ye du'a ka waqt hai ye bad-du'a ka waqt hai
darmiyan mein dusri sa'at ka imkan tak nahin
ibtida ka waqt hai aur intiha ka waqt hai
ahl-e-duniya par bharose ki koi waq'at nahin
ye ‘iraq-e-zindagani hai rasa ka waqt hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.