log koshish mein hain mera qad ghaTane ke liye
log koshish meñ haiñ merā qad ghaTāne ke liye
par ḳhudā raazī hai merā qad baḌhāne ke liye
bevafā kī dāstāñ mujh ko sunāne ke liye
log aa jaate haiñ merā ġham baḌhāne ke liye
tum hamāre sāmne zikr-e-nabī karte raho
itnā bas kaafī hai dil ko chain paane ke liye
itnī tañg-dastī hai ab bhī is qadar mehnat ke baad
kis qadar dushvāriyāñ haiñ ghar chalāne ke liye
ġham tirā āvāz detā hai batā maiñ kyā karūñ
maiñ gayā thā lauT kar vāpas na aane ke liye
habs-e-dil baḌhne lagā to khul ke phir ham ro diye
ye salīqa thā hamārā ġham bhulāne ke liye
sab tahā.if maiñ ne tere kar diye vāpas magar
haath meñ ek chain rakkhī hai ghumāne ke liye
log koshish mein hain mera qad ghaTane ke liye
par KHuda raazi hai mera qad baDhane ke liye
bewafa ki dastan mujh ko sunane ke liye
log aa jate hain mera gham baDhane ke liye
tum hamare samne zikr-e-nabi karte raho
itna bas kafi hai dil ko chain pane ke liye
itni tang-dasti hai ab bhi is qadar mehnat ke baad
kis qadar dushwariyan hain ghar chalane ke liye
gham tera aawaz deta hai bata main kya karun
main gaya tha lauT kar wapas na aane ke liye
habs-e-dil baDhne laga to khul ke phir hum ro diye
ye saliqa tha hamara gham bhulane ke liye
sab tahaif main ne tere kar diye wapas magar
hath mein ek chain rakkhi hai ghumane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.