log milna chhoD denge aur kya
log milnā chhoḌ deñge aur kyā
fāsle baḌhte raheñge aur kyā
chal rahī hai chārasāzī kī nasīm
phuul zaḳhmoñ ke khileñge aur kyā
raushnī hī raushnī hogī yahāñ
dil jale the dil jaleñge aur kyā
ghar ke ā.īne meñ apne aks se
dāstāñ sunte raheñge aur kyā
mere darvāze tak āḳhir aa.e kaun
sirf paT hilte raheñge aur kyā
qāfile baḌhte raheñge roz-o-shab
aable rote raheñge aur kyā
log is mahfil meñ 'rāhī' mere baad
mere afsāne kaheñge aur kyā
log milna chhoD denge aur kya
fasle baDhte rahenge aur kya
chal rahi hai chaarasazi ki nasim
phul zaKHmon ke khilenge aur kya
raushni hi raushni hogi yahan
dil jale the dil jalenge aur kya
ghar ke aaine mein apne aks se
dastan sunte rahenge aur kya
mere darwaze tak aaKHir aae kaun
sirf paT hilte rahenge aur kya
qafile baDhte rahenge roz-o-shab
aable rote rahenge aur kya
log is mahfil mein 'rahi' mere baad
mere afsane kahenge aur kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.