log milte hain bachate hue daman mujhse
log milte haiñ bachāte hue dāmāñ mujh se
jaane kyā baat hai rahte haiñ gurezāñ mujh se
'mīr'-o-'ġhālib' kā hai ābād dabistāñ mujh se
halkā halkā hai magar hai to charāġhāñ mujh se
chhīn sakte ho mire haath se shamshīr-o-sināñ
par ye maqtal ke haiñ sab naqsh-o-nigārāñ mujh se
ek ik bel ko sīñchā hai lahū se apne
muttafiq hoñ na hoñ yārān-e-gulistāñ mujh se
kah rahā hai ki sitamgar ke sitam bhī likh de
mere hāthoñ kā qalam aur qalamdāñ mujh se
maiñ ne likkhā hai qasīda na.ī sub.hoñ vaalā
marsiye ab na suno gor-e-ġharībāñ mujh se
tere ḳhvāboñ ko ḳhayāloñ meñ sajā luuñ phir se
kuchh tavaqqo to rakhā kar dil-e-nādāñ mujh se
mere dāman meñ to vahshat hai junūñ hai 'shāhid'
kyā sañvar saktī hai taqdīr-e-bayābāñ mujh se
log milte hain bachate hue daman mujh se
jaane kya baat hai rahte hain gurezan mujh se
'mir'-o-'ghaalib' ka hai aabaad dabistan mujh se
halka halka hai magar hai to charaghan mujh se
chhin sakte ho mere hath se shamshir-o-sinan
par ye maqtal ke hain sab naqsh-o-nigaran mujh se
ek ek bel ko sincha hai lahu se apne
muttafiq hon na hon yaran-e-gulistan mujh se
kah raha hai ki sitamgar ke sitam bhi likh de
mere hathon ka qalam aur qalamdan mujh se
main ne likkha hai qasida nai subhon wala
marsiye ab na suno gor-e-ghariban mujh se
tere KHwabon ko KHayalon mein saja lun phir se
kuchh tawaqqo to rakha kar dil-e-nadan mujh se
mere daman mein to wahshat hai junun hai 'shahid'
kya sanwar sakti hai taqdir-e-bayaban mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.