log phulon ko bahaaron mein jala dete hain
log phūloñ ko bahāroñ meñ jalā dete haiñ
ham to kāñToñ ko bhī dāman meñ jagah dete haiñ
hausle jiine ke ādāb sikhā dete haiñ
Dūbne vaale ko sāhil se lagā dete haiñ
zahmat-e-rāhbarī aap uThāyā na kareñ
rāste ḳhud mujhe manzil kā pata dete haiñ
aadmī gardish-e-daurāñ se agar Takrā.e
hādse sharm se sar apnā jhukā dete haiñ
raat so jaatī hai jab saarī ḳhudā.ī 'shaidā'
ek ik yaad ko ham haiñ ki jagā dete haiñ
log phulon ko bahaaron mein jala dete hain
hum to kanTon ko bhi daman mein jagah dete hain
hausle jine ke aadab sikha dete hain
Dubne wale ko sahil se laga dete hain
zahmat-e-rahbari aap uThaya na karen
raste KHud mujhe manzil ka pata dete hain
aadmi gardish-e-dauran se agar Takrae
hadse sharm se sar apna jhuka dete hain
raat so jati hai jab sari KHudai 'shaida'
ek ek yaad ko hum hain ki jaga dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.