log pi jaen jahan dida-e-tar ki baaten
log pi jaen jahan dida-e-tar ki baaten
Abdul Majeed Dard Bhopali
MORE BYAbdul Majeed Dard Bhopali
log pī jaa.eñ jahāñ dīda-e-tar kī bāteñ
kaun suntā hai vahāñ zaḳhm-e-jigar kī bāteñ
is qadar aam huiiñ ahl-e-nazar kī bāteñ
dāstāñ ban ke rahīñ apne hī ghar kī bāteñ
kab se gardish meñ hai zarrāt-e-zamīñ kī taqdīr
aap karte haiñ sitāroñ ke safar kī bāteñ
kyā qayāmat hai ki is bāġh-e-jahāñ meñ ham ne
ġhuncha-o-gul se sunīñ barq-o-sharar kī bāteñ
bazm-e-hastī hai ki ye shahr-e-ḳhamoshāñ yaaro
gul khilātīñ hī nahīñ ahl-e-hunar kī bāteñ
'dard' ma.alūm hai anjām-e-shab-e-ġham lekin
dil ke bahlāne ko karte haiñ sahar kī bāteñ
log pi jaen jahan dida-e-tar ki baaten
kaun sunta hai wahan zaKHm-e-jigar ki baaten
is qadar aam huin ahl-e-nazar ki baaten
dastan ban ke rahin apne hi ghar ki baaten
kab se gardish mein hai zarraat-e-zamin ki taqdir
aap karte hain sitaron ke safar ki baaten
kya qayamat hai ki is bagh-e-jahan mein hum ne
ghuncha-o-gul se sunin barq-o-sharar ki baaten
bazm-e-hasti hai ki ye shahr-e-KHamoshan yaro
gul khilatin hi nahin ahl-e-hunar ki baaten
'dard' malum hai anjam-e-shab-e-gham lekin
dil ke bahlane ko karte hain sahar ki baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.