log samjhe the chhupa rakkha hai dhan gaThri mein
log samjhe the chhupā rakkhā hai dhan gaThrī meñ
ham ne to rakkhī thī māthe kī shikan gaThrī meñ
aa gayā thā hameñ kuchh chāñd sitāroñ pe taras
ham ne to bāñdh hī lenā thā gagan gaThrī meñ
ye hunar siikh leñ ye aap ke kaam aa.egā
aib hāthoñ pe rakhā karte haiñ fan gaThrī meñ
daam itne ki kisī chiiz ko chhūnā thā muhāl
bāñdh ke laayā huuñ mele se thakan gaThrī meñ
soch pe pahrā biThāyā hai kisī ne ab tak
kyā koī bāñdh ke rakh saktā hai man gaThrī meñ
vahī oḌhā diyā mayyat pe mirī apnoñ ne
maiñ ne jo rakkhā thā yādoñ kā kafan gaThrī meñ
ham se sach-much hī baḌī bhuul huī thī 'rāhat'
ham ko rakh lenā thī siine kī chubhan gaThrī meñ
log samjhe the chhupa rakkha hai dhan gaThri mein
hum ne to rakkhi thi mathe ki shikan gaThri mein
aa gaya tha hamein kuchh chand sitaron pe taras
hum ne to bandh hi lena tha gagan gaThri mein
ye hunar sikh len ye aap ke kaam aaega
aib hathon pe rakha karte hain fan gaThri mein
dam itne ki kisi chiz ko chhuna tha muhaal
bandh ke laya hun mele se thakan gaThri mein
soch pe pahra biThaya hai kisi ne ab tak
kya koi bandh ke rakh sakta hai man gaThri mein
wahi oDha diya mayyat pe meri apnon ne
main ne jo rakkha tha yaadon ka kafan gaThri mein
hum se sach-much hi baDi bhul hui thi 'rahat'
hum ko rakh lena thi sine ki chubhan gaThri mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.