log to log the ji bhar ke KHasara karte
log to log the jī bhar ke ḳhasāra karte
kam se kam tum to na nuqsān hamārā karte
kar to lenā thā tire saath guzāra lekin
ab tire saath bhī karte to guzāra karte
kaisā ilzām sar-e-mauj-e-balā-ḳhez ki ham
ho ga.e ġharq kināroñ se kināra karte
kar liyā thā to tavaqqo' nahīñ rakhte ham se
'ishq thā qarz nahīñ thā ki utārā karte
ek bas ham hī mayassar the hameñ girte samay
ḳhud ko ab aasrā dete ki sahārā karte
'ishq har haal meñ bas kār-e-ziyāñ thā lekin
ham koī kaam bhī karte to ḳhasāra karte
log to log the ji bhar ke KHasara karte
kam se kam tum to na nuqsan hamara karte
kar to lena tha tere sath guzara lekin
ab tere sath bhi karte to guzara karte
kaisa ilzam sar-e-mauj-e-bala-KHez ki hum
ho gae gharq kinaron se kinara karte
kar liya tha to tawaqqo' nahin rakhte hum se
'ishq tha qarz nahin tha ki utara karte
ek bas hum hi mayassar the hamein girte samay
KHud ko ab aasra dete ki sahaara karte
'ishq har haal mein bas kar-e-ziyan tha lekin
hum koi kaam bhi karte to KHasara karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.