log uD ke ja pahonche be-karan KHalaon mein
log uḌ ke jā pahoñche be-karāñ ḳhalāoñ meñ
ham asiir haiñ ab tak jahl kī guphāoñ meñ
be-sabab nahīñ ghar meñ tīrgī huī hogī
chāñd chhup gayā hogā zulf kī ghaTāoñ meñ
ham amal se haiñ ḳhālī yūñhī hogī pāmālī
dhūñDiye na tāsīreñ be-asar duāoñ meñ
ye tasalsul-e-tūfāñ ye azaab lahroñ kā
kaun sī bashārat hai chīḳhtī havāoñ meñ
kyā yahāñ amīroñ ke khel hone vaale haiñ
uḌ rahe haiñ ġhubbāre shahr kī fazāoñ meñ
kisht-e-za.afrāñ ho kar har-nafas mahak uTThe
mere pyaar kī ḳhushbū ghol do havāoñ meñ
qaum ke safīne kā ab ḳhudā hī hāfiz hai
iḳhtilāf barpā hai aaj nā-ḳhudāoñ meñ
kal thī jin kī muTThī meñ gardish-e-zamāna bhī
vaqt kī haiñ zanjīreñ aaj un ke paañv meñ
ham sharīf-zāde haiñ be-hayā nahīñ lekin
sar chhupā.eñge kaise muḳhtasar ridāoñ meñ
nafratoñ ke saudāgar parcham-e-amāñ le kar
pyaar bāñTne nikle 'shād' gaañv gaañv meñ
log uD ke ja pahonche be-karan KHalaon mein
hum asir hain ab tak jahl ki guphaon mein
be-sabab nahin ghar mein tirgi hui hogi
chand chhup gaya hoga zulf ki ghaTaon mein
hum amal se hain KHali yunhi hogi pamali
dhunDiye na tasiren be-asar duaon mein
ye tasalsul-e-tufan ye azab lahron ka
kaun si bashaarat hai chiKHti hawaon mein
kya yahan amiron ke khel hone wale hain
uD rahe hain ghubbare shahr ki fazaon mein
kisht-e-zafran ho kar har-nafas mahak uTThe
mere pyar ki KHushbu ghol do hawaon mein
qaum ke safine ka ab KHuda hi hafiz hai
iKHtilaf barpa hai aaj na-KHudaon mein
kal thi jin ki muTThi mein gardish-e-zamana bhi
waqt ki hain zanjiren aaj un ke panw mein
hum sharif-zade hain be-haya nahin lekin
sar chhupaenge kaise muKHtasar ridaon mein
nafraton ke saudagar parcham-e-aman le kar
pyar banTne nikle 'shad' ganw ganw mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.