log uTh jaenge un ke tazkire rah jaenge
log uTh jā.eñge un ke tazkire rah jā.eñge
ab yahāñ insāniyat ke maqbare rah jā.eñge
hoñT sī degā to hāthoñ ko zabāñ mil jā.egī
zābte tere sabhī ke sab dhare rah jā.eñge
gar tirī mardum-shanāsī kī yahī hālat rahī
tere chāroñ or saare masḳhare rah jā.eñge
shahr vāloñ ko amīr-e-shahr jul de jā.egā
dil meñ nafrat aañkh meñ aañsū bhare rah jā.eñge
zulm kī tahrīr bil-āḳhir miTā dī jā.egī
harf uḌ jā.eñge ḳhālī mātre rah jā.eñge
maut kā phandā to hai sab ke gale meñ 'āftāb'
ham chale jā.eñge to kyā dūsre rah jā.eñge
log uTh jaenge un ke tazkire rah jaenge
ab yahan insaniyat ke maqbare rah jaenge
honT si dega to hathon ko zaban mil jaegi
zabte tere sabhi ke sab dhare rah jaenge
gar teri mardum-shanasi ki yahi haalat rahi
tere chaaron or sare masKHare rah jaenge
shahr walon ko amir-e-shahr jul de jaega
dil mein nafrat aankh mein aansu bhare rah jaenge
zulm ki tahrir bil-aKHir miTa di jaegi
harf uD jaenge KHali matre rah jaenge
maut ka phanda to hai sab ke gale mein 'aftab'
hum chale jaenge to kya dusre rah jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.