logon ke pas dard ki daulat nahin rahi
logoñ ke paas dard kī daulat nahīñ rahī
ya.anī kisī ko koī zarūrat nahīñ rahī
masrūf is qadar kiyā us kī talāsh ne
mujh ko to ḳhud se milne kī fursat nahīñ rahī
duniyā ne harf harf meñ taqsīm kar diyā
ab zindagī kisī se ibārat nahīñ rahī
achchhā huā ki tark-e-ta.alluq hī kar liyā
āñkhoñ ko intizār kī zahmat nahīñ rahī
maiñ kyā karūñ dimāġh ne taḳhta ulaT diyā
ab dil pe dost terī hukūmat nahīñ rahī
gum ho ga.e haiñ saare salīqe vafāoñ ke
ab is jahāñ meñ rasm-e-mohabbat nahīñ rahī
rusvā.iyoñ ne ghar kī vo sar hī jhukā diyā
yuuñ shahar meñ vo ūñchī imārat nahīñ rahī
'ruḳhsār' muflisī ke karishme ajiib haiñ
ġhurbat meñ dostī bhī salāmat nahīñ rahī
logon ke pas dard ki daulat nahin rahi
yani kisi ko koi zarurat nahin rahi
masruf is qadar kiya us ki talash ne
mujh ko to KHud se milne ki fursat nahin rahi
duniya ne harf harf mein taqsim kar diya
ab zindagi kisi se ibarat nahin rahi
achchha hua ki tark-e-talluq hi kar liya
aankhon ko intizar ki zahmat nahin rahi
main kya karun dimagh ne taKHta ulaT diya
ab dil pe dost teri hukumat nahin rahi
gum ho gae hain sare saliqe wafaon ke
ab is jahan mein rasm-e-mohabbat nahin rahi
ruswaiyon ne ghar ki wo sar hi jhuka diya
yun shahar mein wo unchi imarat nahin rahi
'ruKHsar' muflisi ke karishme ajib hain
ghurbat mein dosti bhi salamat nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.