logon ne jis parind ko samjha ki mar gaya
logoñ ne jis parind ko samjhā ki mar gayā
TuuTe paroñ ko joḌ ke parvāz kar gayā
ik chiiz bhī qarīne kī bāzār meñ nahīñ
fankār ḳhatm ho ga.e dast-e-hunar gayā
darvāze khiḌkiyoñ se nahīñ chhan sakī jo dhuup
dīvār par chaḌhā huā sūraj utar gayā
is baar tum ko raas na ā.eñgī hijrateñ
gar paañv bach ga.e to samajh lo ki sar gayā
mausam kī hai nigāh bahut din se is taraf
āñdhī chalī to ab ke ye būḌhā shajar gayā
shāḳhoñ se apnī ho ga.e 'jāved' ham judā
pattoñ kī tarah fikr kā manzar bikhar gayā
logon ne jis parind ko samjha ki mar gaya
TuTe paron ko joD ke parwaz kar gaya
ek chiz bhi qarine ki bazar mein nahin
fankar KHatm ho gae dast-e-hunar gaya
darwaze khiDkiyon se nahin chhan saki jo dhup
diwar par chaDha hua suraj utar gaya
is bar tum ko ras na aaengi hijraten
gar panw bach gae to samajh lo ki sar gaya
mausam ki hai nigah bahut din se is taraf
aandhi chali to ab ke ye buDha shajar gaya
shaKHon se apni ho gae 'jawed' hum juda
patton ki tarah fikr ka manzar bikhar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.