lughat ka pech ye mujhko KHarab lagta hai
luġhat kā pech ye mujh ko ḳharāb lagtā hai
javānī lagtī hai jabki shabāb lagtā hai
vo muskurā.e to kyā jaane kyā qayāmat ho
hasīn itnā jab us kā itaab lagtā hai
ye kapkapāte hue lab jhukī huī palkeñ
mire savāl kā shāyad javāb lagtā hai
tumhāre husn kī tārīf-e-muḳhtasar ye hai
hujūm-e-gul meñ shagufta gulāb lagtā hai
tū dil pe Thes lagā jā koī sadā ke liye
ye terā roz bichhaḌnā azaab lagtā hai
mohabbatoñ kā ḳhazāna jise vo kahte haiñ
mujhe habāb ke aage habāb lagtā hai
sazā-e-jurm-e-mohabbat vo de ke pachhtā.e
mirā gunāh ab un ko savāb lagtā hai
mubālaġha hai ki hai 'sarfarāz' husn-e-nazar
kabhī vo phuul kabhī māhtāb lagtā hai
lughat ka pech ye mujh ko KHarab lagta hai
jawani lagti hai jabki shabab lagta hai
wo muskurae to kya jaane kya qayamat ho
hasin itna jab us ka itab lagta hai
ye kapkapate hue lab jhuki hui palken
mere sawal ka shayad jawab lagta hai
tumhaare husn ki tarif-e-muKHtasar ye hai
hujum-e-gul mein shagufta gulab lagta hai
tu dil pe Thes laga ja koi sada ke liye
ye tera roz bichhaDna azab lagta hai
mohabbaton ka KHazana jise wo kahte hain
mujhe habab ke aage habab lagta hai
saza-e-jurm-e-mohabbat wo de ke pachhtae
mera gunah ab un ko sawab lagta hai
mubaalagha hai ki hai 'sarfaraaz' husn-e-nazar
kabhi wo phul kabhi mahtab lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.