luknat jo usne dekhi hamari zaban mein
luknat jo us ne dekhī hamārī zabān meñ
TukḌe karam ke joḌ diye dāstān meñ
harf-e-junūñ kī sharh meñ sadiyāñ guzar ga.iiñ
allāh kāmyāb kare imtihān meñ
koī batāo kaun mahaktā hai ās-pās
kis ke badan kī ḳhushbū hai kachche makān meñ
jādū-bayāniyāñ bhī khaTaktī haiñ in dinoñ
kāñTe bhare hoñ jaise hamārī zabān meñ
sahrā kī vus'atoñ meñ vahī sā.ebān thā
sab ne panāh lī hai usī sā.ebān meñ
sirf is liye ki ḳhuun ke rishte javān hoñ
kyā kyā buḌhāpe ḳharch hue ḳhāndān meñ
kyā mast guftugū thī faqīroñ meñ der se
koī 'ra.īs' bol paḌā darmiyān meñ
luknat jo us ne dekhi hamari zaban mein
TukDe karam ke joD diye dastan mein
harf-e-junun ki sharh mein sadiyan guzar gain
allah kaamyab kare imtihan mein
koi batao kaun mahakta hai aas-pas
kis ke badan ki KHushbu hai kachche makan mein
jadu-bayaniyan bhi khaTakti hain in dinon
kanTe bhare hon jaise hamari zaban mein
sahra ki wus'aton mein wahi saeban tha
sab ne panah li hai usi saeban mein
sirf is liye ki KHun ke rishte jawan hon
kya kya buDhape KHarch hue KHandan mein
kya mast guftugu thi faqiron mein der se
koi 'rais' bol paDa darmiyan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.