luT gaya ghar to hai ab subh kahin sham kahin
luT gaya ghar to hai ab subh kahin sham kahin
Khalilur Rahman Azmi
MORE BYKhalilur Rahman Azmi
luT gayā ghar to hai ab sub.h kahīñ shaam kahīñ
dekhiye ab hameñ miltā bhī hai ārām kahīñ
kahīñ aisā na ho fitna koī barpā ho jaa.e
ab kabhī bhuul ke liije na mirā naam kahīñ
ham sitam-ḳhurda haiñ kuchh duur hī haT kar rahiye
dekhiye aap pe aa jaa.e na ilzām kahīñ
jab paḌā ġham to badaltī hī nahīñ ye duniyā
jā ke ab baiTh rahī gardish-e-ayyām kahīñ
mere ahbāb ke iḳhlās kā parda rah jaa.e
mujh ko pahle hī Dubo de dil-e-nākām kahīñ
koh-o-sahrā kī taraf chal to paḌe haiñ vahshī
phir unheñ rok na leñ tere dar-o-bām kahīñ
mai-kada chhoḌ ke ham rind bahut pachhtā.e
ham pe sajtā hī nahīñ jāma-e-ehrām kahīñ
luT gaya ghar to hai ab subh kahin sham kahin
dekhiye ab hamein milta bhi hai aaram kahin
kahin aisa na ho fitna koi barpa ho jae
ab kabhi bhul ke lije na mera nam kahin
hum sitam-KHurda hain kuchh dur hi haT kar rahiye
dekhiye aap pe aa jae na ilzam kahin
jab paDa gham to badalti hi nahin ye duniya
ja ke ab baiTh rahi gardish-e-ayyam kahin
mere ahbab ke iKHlas ka parda rah jae
mujh ko pahle hi Dubo de dil-e-nakaam kahin
koh-o-sahra ki taraf chal to paDe hain wahshi
phir unhen rok na len tere dar-o-baam kahin
mai-kada chhoD ke hum rind bahut pachhtae
hum pe sajta hi nahin jama-e-ehram kahin
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 75)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.