luT jaegi hayat na thi ye KHabar mujhe
luT jā.egī hayāt na thī ye ḳhabar mujhe
ronā paḌegā hijr meñ shām-o-sahar mujhe
uThtā huuñ baar baar kaleje ko thaam kar
dil meñ chubho rahā hai koī neshtar mujhe
duniyā meñ āñsuoñ kī basā kar chalī ga.iiñ
achchhā diyā vafāoñ kā merī samar mujhe
bas ai junūn-e-shauq bahut naam pā chukā
lillāh aur dahr meñ rusvā na kar mujhe
jalve sameT ke dīda-e-hairāñ meñ rah na jaa.eñ
altāf-e-be-panāh se dekhā na kar mujhe
ishq-o-junūñ meñ ziist ko barbād kar chukā
kahte haiñ log 'maz.har'-e-āshufta-sar mujhe
luT jaegi hayat na thi ye KHabar mujhe
rona paDega hijr mein sham-o-sahar mujhe
uThta hun bar bar kaleje ko tham kar
dil mein chubho raha hai koi neshtar mujhe
duniya mein aansuon ki basa kar chali gain
achchha diya wafaon ka meri samar mujhe
bas ai junun-e-shauq bahut nam pa chuka
lillah aur dahr mein ruswa na kar mujhe
jalwe sameT ke dida-e-hairan mein rah na jaen
altaf-e-be-panah se dekha na kar mujhe
ishq-o-junun mein zist ko barbaad kar chuka
kahte hain log 'mazhar'-e-ashufta-sar mujhe
- Book : Khamyazah (Pg. 87)
- Author : Sayed Mazhar gilani
- Publication : Sayed Suhail wajid Fauq (1978)
- Edition : 1978
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.