luTa diye the kabhi jo KHazane DhunDhte hain
luTā diye the kabhī jo ḳhazāne DhūñDhte haiñ
na.e zamāne meñ kuchh din purāne DhūñDhte haiñ
kabhī kabhī to ye lagtā hai maiñ vo lamha huuñ
ki ik zamāne se jis ko zamāne DhūñDhte haiñ
kuchh ehtiyāt bhī ab ke talab meñ rakhnā paḌī
sau us ko aur kisī ke bahāne DhūñDhte haiñ
lapak ke aate haiñ siine kī samt tiir aise
parind shāḳh pe jaise Thikāne DhūñDhte haiñ
hamārī sāda-mizājī bhī kyā qayāmat hai
ki ab qafas hī meñ ham āshiyāne DhūñDhte haiñ
luTa diye the kabhi jo KHazane DhunDhte hain
nae zamane mein kuchh din purane DhunDhte hain
kabhi kabhi to ye lagta hai main wo lamha hun
ki ek zamane se jis ko zamane DhunDhte hain
kuchh ehtiyat bhi ab ke talab mein rakhna paDi
sau us ko aur kisi ke bahane DhunDhte hain
lapak ke aate hain sine ki samt tir aise
parind shaKH pe jaise Thikane DhunDhte hain
hamari sada-mizaji bhi kya qayamat hai
ki ab qafas hi mein hum aashiyane DhunDhte hain
- Book : Sukhan Aabaad (Pg. 89)
- Author : Manzoor Hashmi
- Publication : Manzoor Hashmi (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.