luTae jate hain jab bhi kahin langar mohabbat ke
luTā.e jaate haiñ jab bhī kahīñ langar mohabbat ke
vahāñ sultān aate haiñ nazar naukar mohabbat ke
qayāmat tak mahak aatī rahegī un zamīnoñ se
jahāñ Thahre haiñ pal-do-pal kabhī lashkar mohabbat ke
pighal jaatī haiñ dil kī aah se lohe kī zanjīreñ
ye quvvat hai ye tāqat hai ye haiñ tevar mohabbat ke
vafā kī raah meñ jis ne hamesha choT khaa.ī hai
use achchhe nahīñ lagte kabhī manzar mohabbat ke
kabhī jaatī nahīñ us shaḳhs kī āñkhoñ kī bīnā.ī
jo palkoñ meñ chhupā kar rakhtā hai gauhar mohabbat ke
jo qīmat hai mohabbat kī kabhī vo kam nahīñ hogī
chalā le tū jahāñ chāhe ye haiñ dollar mohabbat ke
vafādārī zarūrī hai mohabbat meñ sadā 'ilyās'
pahan lo tum mohabbat se ye haiñ zevar mohabbat ke
luTae jate hain jab bhi kahin langar mohabbat ke
wahan sultan aate hain nazar naukar mohabbat ke
qayamat tak mahak aati rahegi un zaminon se
jahan Thahre hain pal-do-pal kabhi lashkar mohabbat ke
pighal jati hain dil ki aah se lohe ki zanjiren
ye quwwat hai ye taqat hai ye hain tewar mohabbat ke
wafa ki rah mein jis ne hamesha choT khai hai
use achchhe nahin lagte kabhi manzar mohabbat ke
kabhi jati nahin us shaKHs ki aankhon ki binai
jo palkon mein chhupa kar rakhta hai gauhar mohabbat ke
jo qimat hai mohabbat ki kabhi wo kam nahin hogi
chala le tu jahan chahe ye hain dollar mohabbat ke
wafadari zaruri hai mohabbat mein sada 'ilyas'
pahan lo tum mohabbat se ye hain zewar mohabbat ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.