lutf aa jae mohabbat ka meri jaan mujhko
lutf aa jaa.e mohabbat kā mirī jaañ mujh ko
ho vahī dard tujhe jo hai sitam-rāñ mujh ko
tum agar jalva-numā ho to ho vahdat kasrat
ā.ina-ḳhāna nazar aa.e paristāñ mujh ko
chūste haiñ dahan-e-zaḳhm maze le le kar
lab-e-ma.ashūq hai us tiir kā paikāñ mujh ko
dil-e-afsurda ne afsos kahīñ kā na rakhā
sehn-e-gulzār se achchhā hai bayābāñ mujh ko
haa.e shor-afganī-e-husn-e-malīh-e-qātil
har jarāhat kī sadā hai ki namak-dāñ mujh ko
kab uThātā hai naqāb-e-ruḳh-e-zebā vo shoḳh
bas pareshāñ na kar ai ḳhvāb-e-pareshāñ mujh ko
fikr thī roz-e-azal deñ ġham-e-ulfat kis ko
haath phailā ke pukārā dil-e-insāñ mujh ko
ghar meñ baiThā na gayā raah meñ Thahrā na gayā
le gayā shauq na jaanā thā jahāñ vaañ mujh ko
yā sikhānī na thī us shoḳh ko ye tarz-e-jafā
yā na denā thā ilāhī dil-e-nālāñ mujh ko
ek hī daur meñ maiñ gir ke na sañbhlā saaqī
gardish-e-jām huī gardish-e-daurāñ mujh ko
baat meñ TuuT gayā 'mehr' milā thā shāyad
dil bhī ho kar kisī bad-ahd kā paimāñ mujh ko
lutf aa jae mohabbat ka meri jaan mujh ko
ho wahi dard tujhe jo hai sitam-ran mujh ko
tum agar jalwa-numa ho to ho wahdat kasrat
aaina-KHana nazar aae paristan mujh ko
chuste hain dahan-e-zaKHm maze le le kar
lab-e-mashuq hai us tir ka paikan mujh ko
dil-e-afsurda ne afsos kahin ka na rakha
sehn-e-gulzar se achchha hai bayaban mujh ko
hae shor-afgani-e-husn-e-malih-e-qatil
har jarahat ki sada hai ki namak-dan mujh ko
kab uThata hai naqab-e-ruKH-e-zeba wo shoKH
bas pareshan na kar ai KHwab-e-pareshan mujh ko
fikr thi roz-e-azal den gham-e-ulfat kis ko
hath phaila ke pukara dil-e-insan mujh ko
ghar mein baiTha na gaya rah mein Thahra na gaya
le gaya shauq na jaana tha jahan wan mujh ko
ya sikhani na thi us shoKH ko ye tarz-e-jafa
ya na dena tha ilahi dil-e-nalan mujh ko
ek hi daur mein main gir ke na sanbhla saqi
gardish-e-jam hui gardish-e-dauran mujh ko
baat mein TuT gaya 'mehr' mila tha shayad
dil bhi ho kar kisi bad-ahd ka paiman mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.