lutf-amez har andaz-e-sitam hota hai
lutf-amez har andaz-e-sitam hota hai
Syed Wajid Ali Farrukh Banarsi
MORE BYSyed Wajid Ali Farrukh Banarsi
lutf-āmez har andāz-e-sitam hotā hai
dard-e-bīmār na baḌhtā hai na kam hotā hai
be-qarāroñ ko nahīñ rāh-e-talab meñ mushkil
ik taḌap meñ had-e-manzil pe qadam hotā hai
dekhtā hai jo mirā haal vo ro detā hai
mere parde meñ zamāne pe sitam hotā hai
ḳhūgar-e-jaur ko āzār meñ bhī rāhat hai
dil taḌaptā hai sivā jaur jo kam hotā hai
sunñe vaale idhar aa dekh vo vaqt aa pahūñchā
ki ishāroñ meñ bayāñ qissa-e-ġham hotā hai
kyā qayāmat hai vahī dushman-e-jāñ hote haiñ
jin nigāhoñ meñ kuchh andāz-e-karam hotā hai
tapish-e-dil se hai hangāma-e-hastī bedār
ruuh so jaatī hai kuchh dard jo kam hotā hai
ajab ārām se huuñ tark-e-tamannā kar ke
ab na hotī hai ḳhushī mujh ko na ġham hotā hai
kaif jo asl meñ hai rūh-e-nashāt ai 'farruḳh'
vaqt-e-āḳhir vahī sarmāya-e-ġham hotā hai
lutf-amez har andaz-e-sitam hota hai
dard-e-bimar na baDhta hai na kam hota hai
be-qararon ko nahin rah-e-talab mein mushkil
ek taDap mein had-e-manzil pe qadam hota hai
dekhta hai jo mera haal wo ro deta hai
mere parde mein zamane pe sitam hota hai
KHugar-e-jaur ko aazar mein bhi rahat hai
dil taDapta hai siwa jaur jo kam hota hai
sunne wale idhar aa dekh wo waqt aa pahuncha
ki ishaaron mein bayan qissa-e-gham hota hai
kya qayamat hai wahi dushman-e-jaan hote hain
jin nigahon mein kuchh andaz-e-karam hota hai
tapish-e-dil se hai hangama-e-hasti bedar
ruh so jati hai kuchh dard jo kam hota hai
ajab aaram se hun tark-e-tamanna kar ke
ab na hoti hai KHushi mujh ko na gham hota hai
kaif jo asl mein hai ruh-e-nashat ai 'farruKH'
waqt-e-aKHir wahi sarmaya-e-gham hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.