lutf baDhta hai safar ka dost kam raftar se
lutf baḌhtā hai safar kā dost kam raftār se
maiñ bhī ḳhush hotā huuñ tere aarzī inkār se
aañkh lagne kī zarā sī der thī bas aur phir
kaT gayā dariyā-e-shab bhī ḳhvāb ke patvār se
merī qurbat meñ mirā ghar bhī fasurda ho gayā
ashk girne lag ga.e haiñ dīda-e-dīvār se
ek massage nafratoñ par baar guzrā hai mirī
phuul bhejā hai kisī laḌkī ne sarhad paar se
us kī āñkheñ aap kī āñkhoñ se achchhī thiiñ zarā
baaqī saare aap behtar ho purāne yaar se
lutf baDhta hai safar ka dost kam raftar se
main bhi KHush hota hun tere aarzi inkar se
aankh lagne ki zara si der thi bas aur phir
kaT gaya dariya-e-shab bhi KHwab ke patwar se
meri qurbat mein mera ghar bhi fasurda ho gaya
ashk girne lag gae hain dida-e-diwar se
ek massage nafraton par bar guzra hai meri
phul bheja hai kisi laDki ne sarhad par se
us ki aankhen aap ki aankhon se achchhi thin zara
baqi sare aap behtar ho purane yar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.