lutf be-bak mulaqat ka mushkil se uTha
lutf be-bāk mulāqāt kā mushkil se uThā
ek parda thā bil-āḳhir jo muqābil se uThā
husn-e-ḳhalvat-talabī ke liye mahfil se uThā
ġhair az ishq jo jazba ho use dil se uThā
kaif-e-vīrānī-e-ḳhalvat se na mahfil se uThā
zauq-e-dil-bastagī jab tak na tah-e-dil se uThā
ishq jaisī koī shaḳhsiyyat-e-jāma.a na milī
ek bhī harf is afsāne kā mushkil se uThā
aql se gesū-e-getī nahīñ suljhe yārab
koī dīvāna isī aab isī gil se uThā
pā-shikasta ġham-e-vāmāndagī-r-rāh na kar
paas aane ko tire ḳhud koī manzil se uThā
raat guldasta-e-afsurda-dilī chhoḌ ga.ī
gul-ba-kaf vaqt-e-sahar jo tirī mahfil se uThā
ham-safar kaun hama-vaqt hai saa.e kī tarah
maiñ uThā huuñ to koī saath muqābil se uThā
chāñd taare bhī the mushtāq ki 'mānī' ko suneñ
sub.h-dam tak na koī raat kī mahfil se uThā
lutf be-bak mulaqat ka mushkil se uTha
ek parda tha bil-aKHir jo muqabil se uTha
husn-e-KHalwat-talabi ke liye mahfil se uTha
ghair az ishq jo jazba ho use dil se uTha
kaif-e-virani-e-KHalwat se na mahfil se uTha
zauq-e-dil-bastagi jab tak na tah-e-dil se uTha
ishq jaisi koi shaKHsiyyat-e-jama na mili
ek bhi harf is afsane ka mushkil se uTha
aql se gesu-e-geti nahin suljhe yarab
koi diwana isi aab isi gil se uTha
pa-shikasta gham-e-wamandagi-r-rah na kar
pas aane ko tere KHud koi manzil se uTha
raat guldasta-e-afsurda-dili chhoD gai
gul-ba-kaf waqt-e-sahar jo teri mahfil se uTha
ham-safar kaun hama-waqt hai sae ki tarah
main uTha hun to koi sath muqabil se uTha
chand tare bhi the mushtaq ki 'mani' ko sunen
subh-dam tak na koi raat ki mahfil se uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.