lutf duniya to faqat dida-e-namnak mein hai
lutf duniyā to faqat dīda-e-namnāk meñ hai
shaiḳh sāhab kī nazar aaj bhī aflāk meñ hai
jis ne ta.amīr kiyā mujh ko lahū hāthoñ se
ḳhaak ho jā.ūñ ki vo shaḳhs bhī ab ḳhaak meñ hai
mujh ko majbūr kiyā hai mirī majbūrī ne
aaj bhī merī anā kāġhzī poshāk meñ hai
maiñ jo bīmār huā us ne ayādat kī hai
ḳhū-e-rahmat bhī usī qātil-e-saffāk meñ hai
ai dil-e-hijr-zada mujh ko na rusvā karnā
sharm thoḌī sī abhī lahja-e-bebāk meñ hai
merī rusvā.ī meñ shāmil nahīñ mere chehre
hākim-e-shahr magar aaj bhī is taak meñ hai
shahr-e-be-mehr meñ zinda thā faqat maiñ 'sāhil'
mere ehsās kā qātil mirī poshāk meñ hai
lutf duniya to faqat dida-e-namnak mein hai
shaiKH sahab ki nazar aaj bhi aflak mein hai
jis ne tamir kiya mujh ko lahu hathon se
KHak ho jaun ki wo shaKHs bhi ab KHak mein hai
mujh ko majbur kiya hai meri majburi ne
aaj bhi meri ana kaghzi poshak mein hai
main jo bimar hua us ne ayaadat ki hai
KHu-e-rahmat bhi usi qatil-e-saffak mein hai
ai dil-e-hijr-zada mujh ko na ruswa karna
sharm thoDi si abhi lahja-e-bebak mein hai
meri ruswai mein shamil nahin mere chehre
hakim-e-shahr magar aaj bhi is tak mein hai
shahr-e-be-mehr mein zinda tha faqat main 'sahil'
mere ehsas ka qatil meri poshak mein hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 555)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.