lutf-e-mahfil aur na pine ka maza rah jaega
lutf-e-mahfil aur na piine kā maza rah jā.egā
tū na ho saaqī to maiḳhāne meñ kyā rah jā.egā
aap agar yuuñ hī nazar ke jaam chhalkāte rahe
maiñ to kyā phir kaun hai jo pārsā rah jā.egā
jaane vaale chhoḌtā jā apnī yādoñ ke nuqūsh
varna jiine ke liye kyā mashġhala rah jā.egā
ye na thā ma.alūm duniyā hī mirī luT jā.egī
jab ki manzil se zarā sā fāsla rah jā.egā
ittifāqan jab kabhī vo rū-ba-rū aa jā.eñge
kyā ḳhabar thī dil kā dil meñ mudda.ā rah jā.egā
ye bhī to socho tamāshā dekhne vaalo zarā
ham jo Dūbeñge to kyā sāhil bachā rah jā.egā
duur ho jaa.e ḳhalish aisā kabhī mumkin nahīñ
zaḳhm siine kā agar koī harā rah jā.egā
ek din aisā bhī aa.egā na sochā thā kabhī
lamha lamha ziist kā ban kar sazā rah jā.egā
ḳhātir-e-ahbāb ye hastī fanā kar de 'nasīr'
tū na hogā naam to baaqī tirā rah jā.egā
lutf-e-mahfil aur na pine ka maza rah jaega
tu na ho saqi to maiKHane mein kya rah jaega
aap agar yun hi nazar ke jam chhalkate rahe
main to kya phir kaun hai jo parsa rah jaega
jaane wale chhoDta ja apni yaadon ke nuqush
warna jine ke liye kya mashghala rah jaega
ye na tha malum duniya hi meri luT jaegi
jab ki manzil se zara sa fasla rah jaega
ittifaqan jab kabhi wo ru-ba-ru aa jaenge
kya KHabar thi dil ka dil mein muddaa rah jaega
ye bhi to socho tamasha dekhne walo zara
hum jo Dubenge to kya sahil bacha rah jaega
dur ho jae KHalish aisa kabhi mumkin nahin
zaKHm sine ka agar koi hara rah jaega
ek din aisa bhi aaega na socha tha kabhi
lamha lamha zist ka ban kar saza rah jaega
KHatir-e-ahbab ye hasti fana kar de 'nasir'
tu na hoga nam to baqi tera rah jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.