lutf-e-tashrif jo ishq uske ne aaghaz kiya
lutf-e-tashrīf jo 'ishq us ke ne āġhāz kiyā
ham ne tā'zīm kī aur jhap dar-e-dil baaz kiyā
dekh kar us ko butāñ sehr sab apnā bhūle
us shah-e-husn ke 'ālam ne ye e.ajāz kiyā
lutf se jis kī taraf ek nigah kī us ne
us ko sau qadr-o-sharaf se vahīñ mumtāz kiyā
jis ke haañ paañv rakhā us ne to kyā kyā us ko
ālam-e-zāhir-o-bātin meñ sar-afrāz kiyā
ham to kis gintī meñ haiñ husn ne us ke to 'nazīr'
haiñ jo mā'shūq unheñ āshiq-e-jāñbāz kiyā
lutf-e-tashrif jo 'ishq us ke ne aaghaz kiya
hum ne ta'zim ki aur jhap dar-e-dil baz kiya
dekh kar us ko butan sehr sab apna bhule
us shah-e-husn ke 'alam ne ye eajaz kiya
lutf se jis ki taraf ek nigah ki us ne
us ko sau qadr-o-sharaf se wahin mumtaz kiya
jis ke han panw rakha us ne to kya kya us ko
aalam-e-zahir-o-baatin mein sar-afraaz kiya
hum to kis ginti mein hain husn ne us ke to 'nazir'
hain jo ma'shuq unhen aashiq-e-jaanbaz kiya
- Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.