lutf hasil hai teri anjuman-arai ka
lutf hāsil hai tirī anjuman-ārā.ī kā
kitnā pur-kaif hai aalam mirī tanhā.ī kā
tujh se mumkin ho to jaañ nazr-e-mohabbat kar de
yahī mauqa hai mohabbat kī pazīrā.ī kā
na to hai daar kā ḳhatra na rasan kī parvā
hausla dekh zarā apne tamannā.ī kā
tanz kartā hai mire ishq pe jis ko dekho
auj par ab hai sitāra mirī rusvā.ī kā
kahkashāñ chāñd falak aur bisāt-e-anjum
kyā nazāra hai tirī anjuman-ārā.ī kā
us se kah do ki mohabbat kā irāda na kare
chhoḌ de haath se dāman jo shakebā.ī kā
dekhtā huuñ to mire hosh uḌe jaate haiñ
allah allāh ye manzar tirī añgḌā.ī kā
saaf kahtā huuñ ki tum duur raho ai 'shabbīr'
ishq kī raah meñ kyā kaam hai dānā.ī kā
lutf hasil hai teri anjuman-arai ka
kitna pur-kaif hai aalam meri tanhai ka
tujh se mumkin ho to jaan nazr-e-mohabbat kar de
yahi mauqa hai mohabbat ki pazirai ka
na to hai dar ka KHatra na rasan ki parwa
hausla dekh zara apne tamannai ka
tanz karta hai mere ishq pe jis ko dekho
auj par ab hai sitara meri ruswai ka
kahkashan chand falak aur bisat-e-anjum
kya nazara hai teri anjuman-arai ka
us se kah do ki mohabbat ka irada na kare
chhoD de hath se daman jo shakebai ka
dekhta hun to mere hosh uDe jate hain
allah allah ye manzar teri angDai ka
saf kahta hun ki tum dur raho ai 'shabbir'
ishq ki rah mein kya kaam hai danai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.