lutf pahchan ka bhi to lo ajnabi
lutf pahchān kā bhī to lo ajnabī
ham se mil mil ke yuuñ na bano ajnabī
ajnabī-pan hai sheva mire shahr kā
aa.e ho jo yahāñ ban raho ajnabī
bhiiḌ hī se muḳhātab ho tum der se
ḳhud se bhī to kabhī kuchh kaho ajnabī
sah na pāoge majlis kī tanhā.iyāñ
is se behtar hai tanhā raho ajnabī
TūTnā hī habāboñ kī taqdīr hai
in marāsim ko itnā na ro ajnabī
ham shanāsā.iyoñ ke bharam meñ jiye
khul na paayā ki āḳhir haiñ do ajnabī
zindagī hai ki bastī kisī ġhair kī
tum shanāsā sahī phir bhī ho ajnabī
lutf pahchan ka bhi to lo ajnabi
hum se mil mil ke yun na bano ajnabi
ajnabi-pan hai shewa mere shahr ka
aae ho jo yahan ban raho ajnabi
bhiD hi se muKHatab ho tum der se
KHud se bhi to kabhi kuchh kaho ajnabi
sah na paoge majlis ki tanhaiyan
is se behtar hai tanha raho ajnabi
TuTna hi hababon ki taqdir hai
in marasim ko itna na ro ajnabi
hum shanasaiyon ke bharam mein jiye
khul na paya ki aaKHir hain do ajnabi
zindagi hai ki basti kisi ghair ki
tum shanasa sahi phir bhi ho ajnabi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.