lutf zahir kar diya dard-e-nihani dekh kar
lutf zahir kar diya dard-e-nihani dekh kar
Mohammad Ali Khan Rashki
MORE BYMohammad Ali Khan Rashki
lutf zāhir kar diyā dard-e-nihānī dekh kar
rahm ne paa.ī hai quvvat nā-tavānī dekh kar
jo ki miltī ho hamārī sarguzasht-e-ishq se
qissa-ḳhvāñ kahnā vahāñ aisī kahānī dekh kar
tujh se go milte nahīñ dāġh-e-ġham-e-hijrāñ to hai
shukr hai jiite to haiñ terī nishānī dekh kar
kaun hai ḳhūn-e-jigar-āshām maiñ yā mudda.ī
dījiyo saaqī sharāb-e-arġhavānī dekh kar
ab balā-e-āsmānī bhī bhalī lagne lagī
aap ke sar par dupaTTe āsmānī dekh kar
us ramīda-vash ko kyā hāl-e-dil-e-mahzūñ likhūñ
jo ḳhafā ho rabt-e-alfāz-o-ma.ānī dekh kar
hai digar-gūñ ibtidā-e-ishq meñ 'rashkī' kā haal
rahm aatā hai mujhe us kī javānī dekh kar
lutf zahir kar diya dard-e-nihani dekh kar
rahm ne pai hai quwwat na-tawani dekh kar
jo ki milti ho hamari sarguzasht-e-ishq se
qissa-KHwan kahna wahan aisi kahani dekh kar
tujh se go milte nahin dagh-e-gham-e-hijran to hai
shukr hai jite to hain teri nishani dekh kar
kaun hai KHun-e-jigar-asham main ya muddai
dijiyo saqi sharab-e-arghawani dekh kar
ab bala-e-asmani bhi bhali lagne lagi
aap ke sar par dupaTTe aasmani dekh kar
us ramida-wash ko kya haal-e-dil-e-mahzun likhun
jo KHafa ho rabt-e-alfaz-o-maani dekh kar
hai digar-gun ibtida-e-ishq mein 'rashki' ka haal
rahm aata hai mujhe us ki jawani dekh kar
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 93)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.