luTi bahaar to nazm-e-chaman pe kya guzri
luTī bahār to nazm-e-chaman pe kyā guzrī
na pūchhiye ki guloñ ke badan pe kyā guzrī
tumhāre shahr meñ maare ga.e jise patthar
kise hai dard vo dīvāne-pan pe kyā guzrī
nasīb ho gayā us ko maqām hastī kā
na pūchho morid-e-dār-o-rasan pe kyā guzrī
shikast-e-jām kī āvāz hai gavāh us kī
ki mai-kade meñ kisī dil-shikan pe kyā guzrī
zarūr ilm hai is kā nigāh-e-sāqī ko
ki tang-zarfī se tishna-dahan pe kyā guzrī
vo ek nāz-e-taġhāful se uTh ga.e lekin
ḳhabar nahīñ ki bharī anjuman pe kyā guzrī
vatan kā aa gayā jis dam ḳhayāl ġhurbat meñ
'nazar' na pūchho ġharīb-ul-vatan pe kyā guzrī
luTi bahaar to nazm-e-chaman pe kya guzri
na puchhiye ki gulon ke badan pe kya guzri
tumhaare shahr mein mare gae jise patthar
kise hai dard wo diwane-pan pe kya guzri
nasib ho gaya us ko maqam hasti ka
na puchho morid-e-dar-o-rasan pe kya guzri
shikast-e-jam ki aawaz hai gawah us ki
ki mai-kade mein kisi dil-shikan pe kya guzri
zarur ilm hai is ka nigah-e-saqi ko
ki tang-zarfi se tishna-dahan pe kya guzri
wo ek naz-e-taghaful se uTh gae lekin
KHabar nahin ki bhari anjuman pe kya guzri
watan ka aa gaya jis dam KHayal ghurbat mein
'nazar' na puchho gharib-ul-watan pe kya guzri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.