luTne ka kahin KHauf kahin marne ka Dar hai
luTne kā kahīñ ḳhauf kahīñ marne kā Dar hai
dozaḳh kā ye āñgan hai ki duniyā-e-bashar hai
kis vahm meñ kis haal meñ 'iqbāl-umar' hai
allāh dikhā.ī nahīñ detā hai magar hai
ākāsh pe chamkā bhī nahīñ sub.h kā taarā
aur aap ye kahte haiñ sahar hai to sahar hai
maiñ apnī tabī'at kī nazākat se huuñ vāqif
hañstī huī bastī meñ kahāñ merā guzar hai
maiñ aur kidhar jā.ūñ kahāñ vaqt guzārūñ
taskīn dil-e-zār idhar hai na udhar hai
yuuñ bhī hai ki tā'mīr meñ shāmil hai mirā ḳhuuñ
ye shahr mirā shahr hai ye ghar mirā ghar hai
aise meñ to pūrab kī taraf 'mīr' ga.e the
apne ko sañbhāle hue 'iqbāl-umar' hai
luTne ka kahin KHauf kahin marne ka Dar hai
dozaKH ka ye aangan hai ki duniya-e-bashar hai
kis wahm mein kis haal mein 'iqbaal-umar' hai
allah dikhai nahin deta hai magar hai
aakash pe chamka bhi nahin subh ka tara
aur aap ye kahte hain sahar hai to sahar hai
main apni tabi'at ki nazakat se hun waqif
hansti hui basti mein kahan mera guzar hai
main aur kidhar jaun kahan waqt guzarun
taskin dil-e-zar idhar hai na udhar hai
yun bhi hai ki ta'mir mein shamil hai mera KHun
ye shahr mera shahr hai ye ghar mera ghar hai
aise mein to purab ki taraf 'mir' gae the
apne ko sanbhaale hue 'iqbaal-umar' hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.