luTne walo dil-e-barbaad ki tauqir na jae
luTne vaalo dil-e-barbād kī tauqīr na jaa.e
ghar chalā jaa.e magar hasrat-e-tā’mīr na jaa.e
shahr-e-nau qil’a-e-dil kaisā khañDar hai ki jahāñ
koī sayyāh na aa.e koī rahgīr na jaa.e
maiñ to ḳhud ḳhvāboñ ko tā'bīr se kar duuñ mahrūm
ḳhvāb aise haiñ ki jin se ġham-e-tā'bīr na jaa.e
shahr se qāfile lauTe haiñ ye kahte sū-e-dasht
is ḳharābe meñ koī sāhab-e-tauqīr na jaa.e
jaane kis sho'le se gūñdhī ga.ī miTTī merī
āñdhiyāñ chaltī rahīñ ḳhaak kī tanvīr na jaa.e
luTne walo dil-e-barbaad ki tauqir na jae
ghar chala jae magar hasrat-e-ta’mir na jae
shahr-e-nau qil’a-e-dil kaisa khanDar hai ki jahan
koi sayyah na aae koi rahgir na jae
main to KHud KHwabon ko ta'bir se kar dun mahrum
KHwab aise hain ki jin se gham-e-ta'bir na jae
shahr se qafile lauTe hain ye kahte su-e-dasht
is KHarabe mein koi sahab-e-tauqir na jae
jaane kis sho'le se gundhi gai miTTi meri
aandhiyan chalti rahin KHak ki tanwir na jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.