lu hi lu thi saba to thi hi nahin
lū hī lū thī sabā to thī hī nahīñ
ziist rāhat-fazā to thī hī nahīñ
us kī miTTī meñ ḳhū thī kuufe kī
us meñ bū-e-vafā to thī hī nahīñ
saath rah kar bhī itnī duurī he
vasl jaisī sazā to thī hī nahīñ
TuuT kar bhī maiñ kahkashāñ hī huuñ
TūTne meñ fanā to thī hī nahīñ
sirf malba paḌā thā duniyā kā
dil meñ koī duā to thī hī nahīñ
apnī sūrat se Dar gayā thā koī
aa.ine kī ḳhatā to thī hī nahīñ
vo samar-bār peḌ thā lekin
us ke saa.e meñ jā to thī hī nahīñ
jism jabran kisī se bāñdhā hai
is meñ dil kī razā to thī hī nahīñ
us ne tohfe meñ hijr bhejā hai
yeh aziyyat ravā to thī hī nahīñ
aadmī thā ḳhudā na thā 'fauzī'
ziist us kī atā to thī hī nahīñ
lu hi lu thi saba to thi hi nahin
zist rahat-faza to thi hi nahin
us ki miTTi mein KHu thi kufe ki
us mein bu-e-wafa to thi hi nahin
sath rah kar bhi itni duri he
wasl jaisi saza to thi hi nahin
TuT kar bhi main kahkashan hi hun
TuTne mein fana to thi hi nahin
sirf malba paDa tha duniya ka
dil mein koi dua to thi hi nahin
apni surat se Dar gaya tha koi
aaine ki KHata to thi hi nahin
wo samar-bar peD tha lekin
us ke sae mein ja to thi hi nahin
jism jabran kisi se bandha hai
is mein dil ki raza to thi hi nahin
us ne tohfe mein hijr bheja hai
yeh aziyyat rawa to thi hi nahin
aadmi tha KHuda na tha 'fauzi'
zist us ki ata to thi hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.