luTne ko to gham-e-dahr ne luTa ab tak
lūTne ko to ġham-e-dahr ne luuTā ab tak
maiñ vo shīsha huuñ ki patthar se na TuuTā ab tak
zahr detī rahī har gaam pe duniyā mujh ko
dāman-e-zīst to hāthoñ se na chhūTā ab tak
un se mil aaya magar soch rahā huuñ ab bhī
naġhma kyoñ bikhrā hai kyoñ saaz hai TuuTā ab tak
kyā kiyā tum ne jo is tarah ḳhajil hote ho
merā ehsās thā jis ne mujhe luuTā ab tak
dasht-e-pur-ḳhār hai kahte haiñ ye duniyā jis ko
aabla dil kā magar phir bhī na phūTā ab tak
raah to raah hai manzil bhī chhuTī hai pīchhe
gardish-e-vaqt tirā saath na chhūTā ab tak
mauj-o-girdāb se shikva to nahīñ koī 'sabā'
mujh ko be-mehrī-e-sāhil ne hī luuTā ab tak
luTne ko to gham-e-dahr ne luTa ab tak
main wo shisha hun ki patthar se na TuTa ab tak
zahr deti rahi har gam pe duniya mujh ko
daman-e-zist to hathon se na chhuTa ab tak
un se mil aaya magar soch raha hun ab bhi
naghma kyon bikhra hai kyon saz hai TuTa ab tak
kya kiya tum ne jo is tarah KHajil hote ho
mera ehsas tha jis ne mujhe luTa ab tak
dasht-e-pur-KHar hai kahte hain ye duniya jis ko
aabla dil ka magar phir bhi na phuTa ab tak
rah to rah hai manzil bhi chhuTi hai pichhe
gardish-e-waqt tera sath na chhuTa ab tak
mauj-o-girdab se shikwa to nahin koi 'saba'
mujh ko be-mehri-e-sahil ne hi luTa ab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.