mani har ek lafz ke aise nikaliye
mā'nī har ek lafz ke aise nikāliye
har dard ko ḳhulūs ke paikar meñ Dhāliye
ḳhāmosh peḌ dekh rahe haiñ sar-e-falak
muddat se tere shahr meñ dast-e-du’ā liye
parchhā.iyoñ ke shahr meñ ab sochnā hī kyā
ḳhud ko badan ke ḳhol se bāhar nikāliye
detā hai kaun dekh lo ahl-e-vafā kā saath
jāoge kitnī duur charāġh-e-vafā liye
'ḳhālid' inheñ bhī vaqt kī bhaTTī meñ Daal do
kuchh log aaj aa.e haiñ sang-e-sadā liye
ma'ni har ek lafz ke aise nikaliye
har dard ko KHulus ke paikar mein Dhaaliye
KHamosh peD dekh rahe hain sar-e-falak
muddat se tere shahr mein dast-e-du’a liye
parchhaiyon ke shahr mein ab sochna hi kya
KHud ko badan ke KHol se bahar nikaliye
deta hai kaun dekh lo ahl-e-wafa ka sath
jaoge kitni dur charagh-e-wafa liye
'KHalid' inhen bhi waqt ki bhaTTi mein Dal do
kuchh log aaj aae hain sang-e-sada liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.