ma-siwa dard ke tum aur mujhe kya doge
mā-sivā dard ke tum aur mujhe kyā doge
saath to de na sake ḳhaak sahārā doge
ho ke nādim baḌī muddat meñ to aa.e ho miyāñ
phir vo guzre hue din kyā mujhe lauTā doge
zaḳhm-e-dil aur hare ho ga.e tum aa.e kyoñ
maiñ ne samjhā thā musībat meñ sahārā doge
aisī tanhā.ī se to maut hai behtar jānāñ
tum aziyyat ke sivā aur bhalā kyā doge
de ke tum tark-e-ta.alluq kī sanad duniyā ko
kyā pata shahr-e-ḳhamoshāñ ke alāva doge
ek ehsān karo mujh pe ye jaate jaate
phir na milne kā mujhe koī dilāsa doge
tum mire sar kī qasam khā ke kaho jān-e-vafā
kyā kabhī is dil-e-be-kal ko bhī samjhā doge
ham tire baad bhī zinda-o-salāmat haiñ abhī
tum ne samjhā ki hameñ chhoḌ ke dikhlā doge
ishq karnā bhī koī khel kahāñ hai 'tāriq'
ātish-e-ishq meñ tum ḳhud ko hī pighlā doge
ma-siwa dard ke tum aur mujhe kya doge
sath to de na sake KHak sahaara doge
ho ke nadim baDi muddat mein to aae ho miyan
phir wo guzre hue din kya mujhe lauTa doge
zaKHm-e-dil aur hare ho gae tum aae kyon
main ne samjha tha musibat mein sahaara doge
aisi tanhai se to maut hai behtar jaanan
tum aziyyat ke siwa aur bhala kya doge
de ke tum tark-e-talluq ki sanad duniya ko
kya pata shahr-e-KHamoshan ke alawa doge
ek ehsan karo mujh pe ye jate jate
phir na milne ka mujhe koi dilasa doge
tum mere sar ki qasam kha ke kaho jaan-e-wafa
kya kabhi is dil-e-be-kal ko bhi samjha doge
hum tere baad bhi zinda-o-salamat hain abhi
tum ne samjha ki hamein chhoD ke dikhla doge
ishq karna bhi koi khel kahan hai 'tariq'
aatish-e-ishq mein tum KHud ko hi pighla doge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.