ma-siwa se kahin begana banaya hota
mā-sivā se kahīñ begāna banāyā hotā
apne hī husn kā dīvāna banāyā hotā
jaam sāġhar subū ḳhum-ḳhāna banāyā hotā
zarf-e-dil dekh ke paimāna banāyā hotā
lau lagātā na kisī ġhair se ai sham-e-husn
tum ne gar apnā hī parvāna banāyā hotā
merī mahrūmī-e-qismat ko jo sun paatā raqīb
utnī hī baat kā afsāna banāyā hotā
pahle allāh mujhe zabt kī quvvat detā
phir rahīn-e-ġham-e-jānāna na banāyā hotā
un ke hāthoñ pe pahuñchne kā sharaf hī miltā
merī miTTī se jo paimāna banāyā hotā
kaash allāh kā ghar jaan ke 'sho.ala' tum ne
ka.aba-e-dil ko kalīsā na banāyā hotā
ma-siwa se kahin begana banaya hota
apne hi husn ka diwana banaya hota
jam saghar subu KHum-KHana banaya hota
zarf-e-dil dekh ke paimana banaya hota
lau lagata na kisi ghair se ai sham-e-husn
tum ne gar apna hi parwana banaya hota
meri mahrumi-e-qismat ko jo sun pata raqib
utni hi baat ka afsana banaya hota
pahle allah mujhe zabt ki quwwat deta
phir rahin-e-gham-e-jaanana na banaya hota
un ke hathon pe pahunchne ka sharaf hi milta
meri miTTi se jo paimana banaya hota
kash allah ka ghar jaan ke 'shoala' tum ne
kaba-e-dil ko kalisa na banaya hota
- Book : Naghmah-e-Fikr (Pg. 46)
- Author : Shola Saiyed Momin Husain Taqvi Kararivi
- Publication : Shabistan 218 Shahah ganj Allahabad (1968)
- Edition : 1968
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.