maal-e-ashiqi hai apni hasti se guzar jaana
ma.āl-e-āshiqī hai apnī hastī se guzar jaanā
kamāl-e-zindagī hai maut se pahle hī mar jaanā
kalīsā se ġharaz mujh ko na matlab dair-o-ka.aba se
jabīñ ne merī har zarre ko terā sang-e-dar jaanā
zamāna us kī qismat par hamesha naaz kartā hai
mayassar ho jise mahbūb ke kūche meñ mar jaanā
vo bazm-e-ġhair meñ jaane lage haiñ shauq se jaa.eñ
magar turfa-sitam hai mere kūche se guzar jaanā
'kamāl' un kī ayādat ik qayāmat kar ga.ī barpā
shikan māthe pe paḌnā aur marīz-e-ġham kā mar jaanā
maal-e-ashiqi hai apni hasti se guzar jaana
kamal-e-zindagi hai maut se pahle hi mar jaana
kalisa se gharaz mujh ko na matlab dair-o-kaba se
jabin ne meri har zarre ko tera sang-e-dar jaana
zamana us ki qismat par hamesha naz karta hai
mayassar ho jise mahbub ke kuche mein mar jaana
wo bazm-e-ghair mein jaane lage hain shauq se jaen
magar turfa-sitam hai mere kuche se guzar jaana
'kamal' un ki ayaadat ek qayamat kar gai barpa
shikan mathe pe paDna aur mariz-e-gham ka mar jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.